Maa Se Ankahin
"Maa" kayi baar sochti hu tum hoti toh shayad aisa hota, shayad waisa hota.
Pata nai zindagi shayad aur zada khubsurat hoti, gham bhi khusi si lagti.
Shun ne main aapko shikayat jaisi lagey, par dil janta hai ye bas apki kamin hain.
Maa yahan main kabhi bhi ghar aa sakti hu kyon ki pavandi jo nai he,
Par Maa, yaha bina pavandi wali azadi main majaa bhi nai he.
Maa, yaha main cigratte pi kar ghar aa jati hu, aur ghar par bhi jala leti hu,
Q ki yaha smell aane ka darr nai, par aapke darr k bina piney main shakun nai.
Maa shuno na av shyam ko main darwazei ki bell bajati hu, par aap kholti nai ho,
Phir khayal ata hain, aap toh waha ghar par ho, yehi soch kar main apni
Keys nikal kar darwaza kholti hu, aur phir us andherey kamrey main sochti hu
Maa hoti toh puchti "bukh lagi hai? khana de du?" aur jaisey main choti si bacchi hu
mujhsey boltey "jaa kaprey badal le, hath mu dho le, ye bhi bolna parta hai"
Maa tav main chid jati thi par av wohi shun ne ko taras jaatein hai,
Us char diwari andherey kamrey main ankhein aapko dhundti hain.
Jaisey hi light on hoti hain main phir apni duniya main wapas hakikat se rubru.
Maa, aapko pata hai main bimar hu, par yahan meri taklif doctor k siwa
shun ne wala aur koyi nai hai, av main itni badi ho gayi hu,
Ki aapko phone kar k shunawu us layak bhi nai hu.
Par Maa is hakikat se inkaar bhi nai he k main abhi bhi apna khyal raakh nai pati,
Aur yehi sochti rehti hu ki, agar aap hoti toh av tak shayad 100 khaney ki pharmayisey
Main kar chuki hoti, aap par gussa ho chuki hoti, par phir bhi app meri favuorite wali khana bana hi deti.
Maa ish char diwari mai bas yuhi sav sochtey huwe, 2 4 aashu aa hi jatey hai,
Par jav aapka phone ata hai meri hasi wapas a hi jati hai.
Maa, aap se choti choti nauk jhauk, kabhi jaan bujhkar phone par hi kar leti hu.
Dur ho kar bhi wo pass wali feelings de deti hai. Bhaley hi awaaz gussey wali ho meri
Maa par aapko kya pata meri chehrey par eak shakun ki hasi hoti hain.
Maa kehna toh aur bohot kuch tha, par sabd bhi kam par rahe he,
Par tum toh Maa ho na, bina kahein bhi jaan jaan jati ho,
Chahey kinta bhi chupa le, aap meri ankhein par hi leti ho.
Shayad tabhi tum "MAA KEHLATI HO"
SANJA

No comments:
Post a Comment