Thursday, 13 May 2021

Maa Se Ankahin


 Maa Se Ankahin


"Maa" kayi baar sochti hu tum hoti toh shayad aisa hota, shayad waisa hota.

Pata nai zindagi shayad aur zada khubsurat hoti, gham bhi khusi si lagti.

Shun ne main aapko shikayat jaisi lagey, par dil janta hai ye bas apki kamin hain.

Maa yahan main kabhi bhi ghar aa sakti hu kyon ki pavandi jo nai he,

Par Maa, yaha bina pavandi wali azadi main majaa bhi nai he.

Maa, yaha main cigratte pi kar ghar aa jati hu, aur ghar par bhi jala leti hu,

Q ki yaha smell aane ka darr nai, par  aapke darr k bina piney main shakun nai.

Maa shuno na av shyam ko main darwazei ki bell bajati hu, par aap kholti nai ho,

Phir khayal ata hain, aap toh waha ghar par ho, yehi soch kar main apni 

Keys nikal kar darwaza kholti hu, aur phir us andherey kamrey main sochti hu 

Maa hoti toh puchti "bukh lagi hai? khana de du?" aur jaisey main choti si bacchi hu 

mujhsey boltey  "jaa kaprey badal le, hath mu dho le, ye bhi bolna parta hai" 

Maa tav main chid jati thi par  av wohi shun ne ko taras jaatein hai, 

Us char diwari andherey kamrey main ankhein aapko  dhundti hain. 

Jaisey hi light on hoti hain main phir apni duniya main wapas hakikat se rubru.

Maa, aapko pata hai main bimar hu, par yahan meri taklif doctor k siwa 

shun ne wala aur koyi nai hai, av main itni badi ho gayi hu, 

Ki aapko phone kar k shunawu us layak bhi nai hu. 

Par Maa is hakikat se inkaar bhi nai he k main abhi bhi apna khyal raakh nai pati, 

Aur yehi sochti  rehti hu ki, agar aap hoti toh av tak shayad 100 khaney ki pharmayisey 

Main kar chuki hoti, aap par gussa ho chuki hoti, par phir bhi app meri favuorite wali khana bana hi deti.


Maa ish char diwari mai bas yuhi sav sochtey huwe, 2 4 aashu aa hi jatey hai, 

Par jav aapka phone ata hai meri hasi wapas a hi jati hai. 

Maa, aap se choti choti nauk jhauk, kabhi jaan bujhkar phone par hi kar leti hu. 

Dur ho kar bhi wo pass wali feelings de deti hai. Bhaley hi awaaz gussey wali ho meri

Maa par aapko kya pata meri chehrey par  eak shakun ki hasi hoti hain.

Maa kehna toh aur bohot kuch tha, par sabd bhi kam par rahe he,

Par tum toh Maa ho na, bina kahein bhi jaan jaan jati ho,

Chahey kinta bhi chupa le, aap meri ankhein par hi leti ho.

Shayad tabhi tum "MAA KEHLATI HO"

                                                                                                      SANJA

Thursday, 17 October 2019

Small Town Girl

  " Choti ungli pe nachaida wo he small town girl" ganaa jitna shun ney main accha he utna kash saccha bhi hota. kyon ki small town ki ladkiya kisi ko apney ungli par bhaley hi na nacha sakey, lekin kisi ki ungli k isharo par nach jarur jaati he. Apney swapney aur umidon ki aagey kuch bhi kar jaati he. kyon ki sawal sirf apni swapney aur umidon ka nahin he sawal hota he zimmedariyon ka bhi. Apni choti si ankhon main badi badi swapna lekar attey hain ye "Metropolitan Cities main", Jaha akar koyi kamyabi pata he, koyi ya toh andheri galiyon main ghum ho jatey he.


Baat bilkul alag ho jaati he aur bohot mushkil ho jati he jav specially North East ki hoti he. Jaise main. Sirf baat av swapney aur Umidon ki nahin hoti yaha sawal khara ho jata he survival ka. Ji logey na??? Kitney din reh pawogey? Kaise manage karogey? Tumhari bas ki baat nai. Kaisi job milegi? Arrey parlour main ya kisi restaurent par waiter banogi bas na aagey kya ? Koyi soch hi nai sakta ki hum bhi kuch bada kar saktey hey.

Restaurent, massage parlour se aagey soch saktey hey.
Kisi badi si company main hum v job kar ssktey he. Yaha bas hamari shakal dekh kar hi decide kar liya jata he hum beauty parlours main kaam kartey hain, ya kahin waitress he. Aagey ka introduction hamarey jubaan se shun ne se pehle hi wo humko de detey hain. Shayad janey anjaney main hamari aukaat dikhaney ki kosish ki jaati hain.

Aur jav in sav se lad lo aap.... kisi acchi company main job kar rahe ho aap toh aap k male colleagues sochtey he North East ki hey toh hum available he to be accompanied on bed. Jadaa baat kar li toh chance he, baat nai ki toh gawaar he, hum jungli he social manners and socializing is not made for us. Jav ye sav ko bhi overcome karlo toh... aati hain hamari society..

Hamari hi community k log... jo humpey memes bantey hain. Bas galti se 1 photo upload kar do party wali facebook par... eak raat par bitch and randy banane main unko hamey der nai laagti social media par.
Phir unkey Facebook par dikhta he "Norteast bitches at home like this at outside like that" kehtey hain ghar main khaney ka dana nai Par bahar party kar rahe hain.

Log like and share bhi kartey hain bina sochey samjhey ki kitni sacchayi he un baaton par. "Maainey bas ye rakhta he majaa toh aya na teri ijjat ura kar." Galti se eak boy friend ban jaye jo north east ka na ho.... bas hadd ho gayi tav to... Pakka randy ban gayi tav toh.

Kyon ki azadi nai he hamein apana pyar chun ne ka, khushi mana ne ka, apna haq aur marji se jiney ka. 

Akhir Uthana he boj mujhey "North East ki Small Town Girl" honey ka.

Maa Se Ankahin

  Maa Se Ankahin "Maa" kayi baar sochti hu tum hoti toh shayad aisa hota, shayad waisa hota. Pata nai zindagi shayad aur zada khu...